
Wo aag, mai hawaa
Wo bagair mere musalsal jalta hai,
Roshan zamane ko kar andhera mujhe deta hai
Wo samandar, main kinara
Baatein lehron se karta hai aur shor mujhe deta hai,
Kabhi kabhi milta hai durr zyada rehta hai
Wo dhoop hai, wo hi saaya
Wo rooh hai, wo hi kaaya
Wo raat hai aur do-pahar bhi hai
Wo aab-e-hayaat hai aur zeher bhi hai
(Aafreen)
Leave a Reply