Arz Kiya Hai 🫶🏻

by

in

Mehfil mein baithay hum begaano mein,

Tere aane ka shor huaa phir kaano mein.

••

Haan haan, titliyaan bhi urti hain,

aur music bhi bajta hai…

Jaise hota hai bollywood ke gaano mein.

••

Kal tak tootay dil se likha karti thi in panno mein,

Aaj hans kar likhti hoon ki

haan, main bhi hoon un deewano mein.

••

Ishq mein shayar jo hue, wo toh hue shumaar parwano mein,

Magar hum na jalenge, na marenge, aur na hi qaid honge fasaano mein.

••

Jab tu kehta hai “Jii Jaanii”… toh chamak barhti hai sitaaron mein,

Saari raat jaage, ab dhoop ka aanchal orhay hum dekhein tujhe inn fizaon mein.

••

Ki titliyaan bhi urr rahin hain,

Music bhi baj raha hai, 

Kuchh likh toh dia hai tere baare mein,

Ab koi nayi si dhun bhi ban rahi hai dil ke taaron mein!!! ♥️

Aafreen


Leave a Reply

Discover more from entwinedninked

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading